Aadhar Card ko PAN Card se Kaise Link Karein (2026 Latest Update)
Namskar dosto! Ghosh Online Point ke naye blog post mein aapka swagat hai. Aaj ke time mein Aadhar card aur PAN card ko link karna sarakar dwara anivarya (mandatory) kar diya gaya hai. Agar aapne abhi tak apna PAN aur Aadhar link nahi kiya hai, toh aapko banking aur online transactions mein dikkat aa sakti hai.
(আপনার প্যান কার্ডের সাথে আধার কার্ড লিঙ্ক করা এখন বাধ্যতামূলক। লিঙ্ক না থাকলে আপনার ব্যাঙ্কের কাজ বা অনলাইনে লেনদেনে সমস্যা হতে পারে।)
Aadhar-PAN Link Kyun Zaroori Hai? (Why is it important?)
- Banking services ka bina ruke istemal karne ke liye.
- Income Tax Return (ITR) file karne ke liye.
- Naya bank account open karne ya FD (Fixed Deposit) banane ke liye.
- Government subsidies ka fayda lene ke liye.
Aadhar ko PAN se Link Karne ka Online Process (Steps)
Aap ghar baithe apne mobile ya computer se ise aasaani se link kar sakte hain. Niche diye gaye steps ko follow karein:
- Sabse pehle Income Tax ki official website e-Filing portal par jayein.
- Home page par 'Quick Links' section mein 'Link Aadhaar' option par click karein.
- Apna PAN Number aur Aadhar Number sahi-sahi enter karein.
- Details check karne ke baad 'Validate' par click karein.
- Agar naam ya details mein koi mismatch nahi hai, toh aapke registered mobile number par ek OTP aayega.
- OTP enter karein aur submit karein. Aapka link process successful ho jayega!
Kya Link Karne ki Koi Fees Hai?
Haan, Income Tax department ki guideline ke anusar, agar aap deadline ke baad link kar rahe hain, toh aapko Rs. 1000/- ki late fees (Penalty) pay karni hogi. Payment ka process bhi e-filing portal par hi mil jayega.
Kya Aapko Online Form Bharne Mein Problem Aa Rahi Hai?
Agar aapko link karne mein koi error aa raha hai, payment fail ho raha hai, ya aapka PAN aadhar details mismatch bata raha hai, toh pareshan na hon!
Aaj Hi Visit Karein Ghosh Online Point:
Humare center par Aadhar-PAN linking, naya PAN card apply, aur Aadhar Banking (AEPS) ka kaam bohot tezi aur 100% accuracy ke sath kiya jata hai.
- Address: Madhunia, Kandi, Murshidabad
- WhatsApp: +91 8372904676
- Proprietor: Arabindaa Ghosh
